Hindi Poems
Mile bhi agar sara jaha to kya karogay ??
_________________________________________
Mile bhi agar sara jaha to kya karogay ?
Apni jaroorato ka samundar kaha tak bahaogay
Do mutthi anaj say jyada kya khaogay
Do gaj jameen say jyada kitna so ogay
Mile bhi agar sara jaha to kya karoge
Hire motiyon kay dher bhi lag jaye to kitna apnepay jadogay
Do gaj malmal say jyda kya pahelnlogay
Mile bhi agar sara jaha to kya karogay
Kisi kay dil ko tod kar kaha jannat paogay
kisi ko apna banakay chorkar kaha chain say jiyogay
Mile bhi agar sara jaha to kya karogay??
- By Vijay Sole
Teri itni adaat see ho gayi hai
_______________________________
Teri itni adaat see ho gayi hai
Sirf Tere yado ke sahare jiya bhi nahi jayega
Aise he agar maut bhi ajaye teri goad ke bagair to mara bhi nahi jayega
Maut bhi agar aise he agayi to jannat bhi naseeb nahi hogi
Teri itni adaat see hogayi hai tere bagair jiya he nahi jayega
- by Vijay Sole
Girkar Sambhalna Muze Ata Hai
____________________________________
Muze girte dekh tuze maza aa raha tha
Muze girte dekh tuze maza aa raha tha
Teri woh hansi soon kar muze dost may bhi dushman nazar aa raha tha
Na jane kya woh rishta tha,
meri taraf say to dosti ka tha.,
par teri taraf say pata nahi kya tha
Kal tak to mai anjaan tha,
ek dushmaan ko dost kay naam say jaanta tha
Teri us hasi ka rang mai udate dekhna chahta hoo
Apne aap ko sambhalte dekhna chahta hoo
Ek din mai tumhe apne aap pay pachtate dekhna chahta hoo
-By Vijay Sole
Khanjar Marna Kya Jaroori Tha
_______________________________________________
peeth may khanjar Markar,
basta cheenkar bhage hue dost kee kaha shikyat karu||
Us bastemay kuch nahi tha mere yaar,
Us bastemay kuch nahi tha mere yaar,
bas do roti thee ek teri thi aur ek meri thi
Aray bhagta kaha hei mere yaar,
roti ko ghee to laga lene day
sath milkar to khani thee,
yaha say us ped kee chaav tak chal na saka tu mere sath
khanjar marna kya jaroori tha,
dono bhi tu mangta to mai day deta
Us bastemay kuch nahi tha mere yaar
Us bastemay kuch nahi tha mere yaar,
Bas sau sau ki do patti thi, ek teri thi aur ek meri thi
Aray bhagta kaha hai mere yaar
kuch chillar bhi pada hai jeb mai who bhi leja
sath milkar to woh do patti udaani thee
yeha say us kothe tak chal na saka tu mere saath
khanjar marna kya jaroori tha
dono bhi tu mangta to mai day deta
Us bastemay kuch nahi tha mere yaar
Us bastemay kuch nahi tha mere yaar,
Bas ek he sharaab kee botal thi, adhi teri thi aur adhi meri thi
are bhagta kaha hai mere yaar
piyega kaise, Gilas to lekar ja
yeha say us kothe tak tu mere saath chal na saka
khanjar marna kya jaroori tha
Poori bhi maangta to mai day deta
Mera sabkuch tera he to tha
khanjar marna kya jaroori tha
Bhagta kaha hai mere yaar, bhagta kaha hai mere yaar
-by Vijay Sole